Sahib-e-izzat-o-jalal Aqa Tu hai ba-azmat-o-kamal Aqa
Har sifat teri lazawal Aqa Bil-yaqeen tu hai bemisaal Aqa
Main hoon bad-khuluq-o-bad-khisal Aqa Tum ho khush-khuluq-o-khush-maqal Aqa
Ranj-o-gham ne kiya nidhal Aqa Aqa Aqa mujhe sambhaal Aqa
Main hoon be-roop be-jamal Aqa Kuch nahi dhang aur kamal Aqa
Teri rehmat hi se mili izzat Khaak mujh mein hai kuch kamal Aqa
Qatl karne adu charh aaya tha Bach gaya hoon main baal baal Aqa
Tere hote huye mira ab kyun Koi beeka karega baal Aqa
Thokarein dar-ba-dar ki kyun khaaun Tere dam se hoon maala-maal Aqa
Haq ke pyaare hain aap aur pyaara Aap ka Rabb-e-Zuljalal Aqa
Sab haseenon se bil-yaqeen barh kar Husn tera tira jamal Aqa
Tum ne hi sar-bulandiyan bakhshein Mujh mein kuch bhi na tha kamal Aqa
Bad-khasail nikaal kar Sarwar Do bana mujhko khush-khisal Aqa
Apne gham mein rulaaiye har dam Az-paye Hazrat-e-Bilal Aqa
Mera seena Madinah ban jaaye Az-paye Rabb-e-Zuljalal Aqa
Aap ne sirf apni rehmat se Bakhshi izzat diya jalal Aqa
Gande gande wasawis aate hain Mere dil se unhein nikaal Aqa
Yad-e-Taiba mein gum rahoon hardam Tera har dam rahe khayal Aqa
Ahl-e-Islam ghalib aayein aur Kafiron ko lage zawal Aqa
Kaash! is saal main Madine mein Dekhoon Ramzan ka hilal Aqa
Husn-e-akhlaq aur narmi do Door ho khu-e-ishtial Aqa
Sabz gumbad ke saaye mein mera Kaash! ho jaaye inteqal Aqa
Lar-kharaye mire qadam jab bhi Tum ne barh kar liya sambhaal Aqa
Is maraz se bhi tum shifa de do Jharte rehte hain mere baal Aqa
Lab khulein gul jharein faza mehke Tum pe qurbaan main, khush-maqal Aqa
Kaash! Attar ka ho Taiba mein Tere jalwon mein inteqal Aqa





