Sahab-e-rehmat bari hai barhween tareekh Karam ka chashma-e-jari hai barhween tareekh
Hamein to jaan se pyari hai barhween tareekh Adu ke dil ko katari hai barhween tareekh
Isi ne mausam-e-gul ko kiya hai mausam-e-gul Bahar-e-fasl-e-bahari hai barhween tareekh
Bani hai surma-e-chashm-e-baseerat-o-imaan Uthi jo gard-e-sawari hai barhween tareekh
Hazar eid hon ek ek lahza par qurbaan Khushi dilon pe woh tari hai barhween tareekh
Falak pe arsh-e-bareen ka gumaan hota hai Zameen khuld ki kyari hai barhween tareekh
Tamaam ho gayi meelad-e-ambiya ki khushi Hamesha ab teri bari hai barhween tareekh
Dilon ke mail dhule gul khile suroor mile Ajeeb chashma-e-jari hai barhween tareekh
Charhi hai auj pe taqdeer khaksaron ki Khuda ne jab se utari hai barhween tareekh
Khuda ke fazl se imaan mein hain hum pooray Ke apni rooh mein saari hai barhween tareekh
Wiladat-e-Shah-e-Deen har khushi ki baais hai Hazar eid se bhari hai barhween tareekh
Hamesha tu ne ghulamon ke dil kiye thanday Jale jo tujh se woh naari hai barhween tareekh
Khushi hai ahl-e-sunan mein magar adu ke yahan Fughan-o-shewan-o-zari hai barhween tareekh
Jidhar gaya sunni awaaz Ya RasoolAllah Har ik jagah usay khwari hai barhween tareekh
Adu wiladat-e-shaitaan ke din manaye khushi Ke eid eid hamari hai barhween tareekh
Hassan wiladat-e-sarkar se hua roshan Mere Khuda ko bhi pyari hai barhween tareekh





