Sab se awla o aala hamara Nabi Sab se bala o aala hamara Nabi
Apne Mawla ka pyara hamara Nabi Dono aalam ka dulha hamara Nabi
Bazm-e-aakhir ka shama-e-farozaan hua Noor-e-awwal ka jalwa hamara Nabi
Jis ko shayaan hai arsh-e-Khuda par juloos Hai woh Sultan-e-wala hamara Nabi
Bujh gayin jis ke aage sabhi mash'alein Shama woh le kar aaya hamara Nabi
Jis ke talwon ka dhovan hai aab-e-hayat Hai woh jaan-e-Maseeha hamara Nabi
Arsh o kursi ki theen aaina bandiyan Soo-e-Haq jab sidhara hamara Nabi
Khalq se awliya, awliya se rusul Aur rasoolon se aala hamara Nabi
Hasan khata hai jis ke namak ki qasam Woh maleeh-e-dil aara hamara Nabi
Jis ki do boond hain Kawsar o Salsabeel Hai woh rahmat ka darya hamara Nabi
Jaise sab ka Khuda ek hai waise hi In ka un ka tumhara hamara Nabi
Qarnon badli rasoolon ki hoti rahi Chand badli se nikla hamara Nabi
Kaun deta hai dene ko munh chahiye Dene wala hai saccha hamara Nabi
Kya khabar kitne taare khile chhup gaye Par na doobay na dooba hamara Nabi
Mulk-e-konain mein ambiya tajdar Tajdaron ka aaqa hamara Nabi
Lamakaan tak ujala hai jis ka woh hai Har makaan ka ujala hamara Nabi
Saare acchon mein accha samajhiye jisay Hai us acche se accha hamara Nabi
Ambiya se karoon arz kyun Maaliko Kya Nabi hai tumhara hamara Nabi
Jis ne tukray kiye hain qamar ke woh hai Noor-e-wahdat ka tukra hamara Nabi
Jis ne murda dilon ko di umr-e-abad Hai woh jaan-e-Maseeha hamara Nabi
Ghamzadon ko Razaؔ muzdah deejiye ke hai Bekason ka sahara hamara Nabi





