Rashk-e-Qamar hoon rang-e-rukh-e-Aftab hoon Zarra tera jo ae Shah-e-gardoon janab hoon
Durr-e-Najaf hoon gohar-e-pak-e-Khushab hoon Ya'ni turab-e-rah-guzar-e-Bu Turab hoon
Gar aankh hoon to abr ki chashm-e-pur-aab hoon Dil hoon to barq ka dil-e-pur-iztirab hoon
Khooneen jigar hoon ta'ir-e-be-aashiyan shaha Rang-e-pareeda-e-rukh-e-gul ka jawab hoon
Be-asl o be-sabat hoon bahr-e-karam madad Parwarda-e-kinar-e-sarab o habab hoon
Ibrat faza hai sharm-e-gunah se mera sukoot Goya lab-e-khamosh-e-lahad ka jawab hoon
Kyun nala-e-soz le karoon kyun khoon-e-dil piyoon Seekh-e-kabab hoon na main jaam-e-sharab hoon
Dil basta be-qarar, jigar chaak, ashkbar Ghuncha hoon gul hoon barq-e-tapan hoon sahab hoon
Da'wa hai sab se teri shafa'at pe beshtar Daftar mein aasiyon ke shaha intikhab hoon
Maula duhaai nazron se gir kar jala ghulam Ashk-e-muzhah raseeda-e-chashm-e-kabab hoon
Mit jaaye yeh khudi to woh jalwa kahan nahin Darda main aap apni nazar ka hijab hoon
Sadqay hoon us pe naar se dega jo mukhlisi Bulbul nahin ke aatish-e-gul par kabab hoon
Qalib tahi kiye hama aaghosh hai hilal Ae Shahsawar-e-Tayyab! main teri rakab hoon
Kya kya hain tujh se naaz tere qasr ko ke main Ka'ba ki jaan, arsh-e-bareen ka jawab hoon
Shaha bujhay saqar mere ashkon se taana main Aab-e-abas chakeeda-e-chashm-e-kabab hoon
Main to kaha hi chahoon ke banda hoon Shah ka Par lutf jab hai keh dein agar woh janaab "hoon"
Hasrat mein khaak bosi-e-Tayyaba ki ae Raza Tapka jo chashm-e-mehr se woh khoon-e-naab hoon





