We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Qibla o Kaaba e Eman Rasool ArabiNot Verified

Bedam Shah Warsi

Qibla-o-Kaaba-e-imaan Rasool-e-Arabi Do jahan aap pe qurban Rasool-e-Arabi


Chand ho tum jo Rasoolan-e-salaf taare hain Sab Nabi dil hain toh tum jaan Rasool-e-Arabi


Sadqa Hussain ka roze pe bula lo mujh ko Hind mein hoon main pareshan Rasool-e-Arabi


Kis ki mushkil mein teri zaat na aaṛe aayi Tera kis par nahin ehsaan Rasool-e-Arabi



No More Screenshots! Save Storage with Our Lyrics App!

Get it on Google Play


Koi behtar hai toh behtar se bhi behtar toh hai Sab aala hai teri shaan Rasool-e-Arabi


Tera deedar hai deedar-e-Ilahi mujh ko Teri ulfat mera imaan Rasool-e-Arabi


Majma-e-hashr mein us shaan se aaye Bedam Haath mein ho tera daaman Rasool-e-Arabi

More Lyrics, Less Storage - Install the App and Ditch the Screenshots!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah