Mera dil aur meri jaan Madinay walay ﷺ Tujh pe sau jaan se qurban Madinay walay ﷺ
Tera dar chhor ke jaaun toh kahan main jaaun Meray Aaqa meray Sultan Madinay walay ﷺ
Bharday bharday meray Data meri jholi bharday Ab na rakh bay-sar-o-samaan Madinay walay ﷺ
Aaray aayi hai teri zaat har ik dukhiya ke Meri mushkil bhi ho aasaan Madinay walay ﷺ
Phir tamanna-e-ziyarat ne kiya dil be-chain Phir Madinay ka hai armaan Madinay walay ﷺ
Sag-e-Taiba mujhay sab keh ke pukarein Bedam Yahi rakhein meri pehchan Madinay walay ﷺ





