Is taraf bhi karam aye rashk-e-Masīha karna Keh tumhein aata hai bīmār ka achha karna
Be-khud jalwah se kehta hai yeh jalwah un ka Lutf-e-nazārah uthā hosh sambhāla karna
Aye junūn kyun liye jātā hai bayābān mein mujhe Jab tujhe aātā hai ghar ko mire sahrā karna
Jab bajuz tere koi dūsrā nahin maujūd Phir samajh mein nahin ātā tirā parda karna
Yehi woh kām hain nākām-e-mohabbat ke liye Kabhi un ka kabhi taqdīr kā shikwah karna
Hum bhi dekhein tire ā'īnah-e-rukh ko lekin Shāq hai gard-e-nazar se usay dhundlā karna
Koi jā ho dair-o-haram ho ke sanam-khānah ho Hum ko naqsh-e-qadam-e-yār pe sajdah karna
Dekh le jā ke woh daryā pe tamāshā-e-hubāb Jis ko manzūr ho nazārah-e-dunyā karna
Pardah-e-hastī-e-mawhūm hatā lo pehle Phir jahān chāho wahān yār ko dekhā karna
Shikwah aur shikwah-e-Mahbūb-e-Ilāhī taubah Kufr hai madh-hab-e-ushshāq mein shikwah karna
Ek tum ho keh tumhein bāt kā kuch pās nahin Aur ik hum keh hamein munh se jo kehnā karnā
Woh mire ashk ko dāman pe jagah dete hain Ya'nī manzūr hai us qatray ko daryā karna
Aisī ānkhon ke tasaddaq mirī ānkhein Bedamؔ Keh jinhein ātā hai aghyār ko apnā karnā