Mera dil aur meri jaan Madine wale ﷺ Tujh pe so jaan se qurban Madine wale ﷺ
Tera dar chhod ke jaaun toh kahan jaaun main Mere Aaqa ﷺ mere Sultan Madine wale ﷺ
Bharde bharde mere Aaqa ﷺ meri jholi bharde Ab na rakh be-sar-o-samaan Madine wale ﷺ
Likh de likh de meri qismat mein Madinah likh de Hai teri milk qalamdaan Madine wale ﷺ
Sabz gumbad ki fazaon mein bula lo mujh ko Tera ghafil hai pareshan Madine wale ﷺ
Phir tamannaye ziyarat ne kiya dil be-chain Phir Madine ka hai armaan Madine wale ﷺ
Aade aati hai teri zaat har ek dukhiya ke Meri mushkil bhi ho aasaan Madine wale ﷺ
Sag-e-Tayyaba mujhe sab keh ke pukaare Bedamؔ Yahi rakhein meri pehchan Madine wale





