Kash meri jabeen-e-shauq sajdon se sarfraz ho Yaar ki khaak-e-aastaan, taaj-e-sar-e-niyaz ho
Hum ko bhi paamal kar, umr teri daraaz ho Mast-e-khuraam-e-naaz, idhar mashq-e-khuraam-e-naaz ho
Chashm-e-haqeeqat aashna dekhe jo husn ki kitaab Daftar-e-sad hadees-e-raaz har waraq-e-majaaz ho
Saamne ruye-yaar ho, sajde mein ho sar-e-niyaz Yunhi hareem-e-naaz mein aathon pahar namaaz ho
Uss ki hareem-e-naaz mein aql-o-khirad ko dakhal kya Jis ki gali ki khaak ka zarra jahan-e-raaz ho
Teri gali mein pa ke jaah, jaaye kahan gada tera Kyun na woh beniyaaz ho tujh se jise niyaz ho
Bedam khasta hijr mein ban gayi jaan-e-zaar par Jis ne diya hai dard-e-dil kaash woh chara-saaz ho





