Qibla ka bhi Kaaba rukh-e-neeko nazar aaya Kaaba ka bhi qibla kham-e-abroo nazar aaya
Mahshar mein kisi ne bhi meri baat na poochhi Haami nazar aaya to bas ik tu nazar aaya
Phir band-e-kashakash mein giraftar na dekhe Jab mojza-e-jumbish-e-abroo nazar aaya
Us dil ke fida jo hai teri deed ka talib Un aankhon ke qurban jinhein tu nazar aaya
Sultan-o-gada hain sab tere dar ke bhikari Har haath mein darwaza ka bazu nazar aaya
Sajda ko jhuka jaaye Ibrahim mein Kaaba Jab qibla-e-konain ka abroo nazar aaya
Bazaar-e-qayamat mein jinhein koi na poochhe Aison ka khareedar hamein tu nazar aaya
Mahshar mein gunehgar ka palla hua bhari Palla pe jo woh qurb-e-tarazu nazar aaya
Ya dekhne wala tha tera ya tera joya Jo hum ko Khuda-been-o-Khuda-ju nazar aaya
Shal haath salateen ke uthay bahar-e-gadai Darwaza tera quwwat-e-bazu nazar aaya
Yousuf se haseen aur tamanna-e-nazzara Aalam mein na tum sa koi khush-roo nazar aaya
Faryad-e-ghareeban se hai mahshar mein woh be-chain Kausar pe tha ya qurb-e-tarazu nazar aaya
Takleef utha kar bhi dua maangi adu ki Khush-khulq na aisa koi khush-kho nazar aaya
Zahir hain Hasan Ahmad-e-Mukhtar ke ma'ne Konain pe Sarkar ka qaboo nazar aaya





