Phoolon ki bahaaren bhool gaye kaise hain sitaaray bhool gaye Jis din se Madinah dekha hai hum saare nazaare bhool gaye
Sarkaar jahan bhi yaad aaye phir yaad nahin koi aaya Yoon un ki ata mein mahwoye hum jurm bhi saare bhool gaye
Kuch itna karam farmaate hain Sarkaar to apne mangatoon par Zinda hain sahaare par un ke ghairon ke sahaare bhool gaye
Hai sab yeh ata-e ishq-e-Nabi ashkon ki nai taqeer mili Dukh dard samajhte the jin ko dukh dard ke mare bhool gaye
Dil mehvo hai yaad-e-Saroor mein toofan ka koi khauf nahi Har waqt sukoon ka aalam hai maujon ko kinaare bhool gaye
Ab phool baraste rehte hain aankhon se bajaaye shola-e gham Yeh zikr-e-Nabi ka sadaqa hai daaman ko sharaare bhool gaye
Izzat bhi mili shohrat bhi mili dunya ki sayyadaat bhi pai Bas un ka sahaara yaad raha duniya ke sahare bhool gaye
Quran se hum be-behra hain kya ishq-e-Nabi kehte hain usay Har ilm to azbar hai humko Quran ke paray bhool gaye
Kya mu'jaza-e Shams o Qamar bhi bhoolne wali baatein hain Nadaan hain bohot jo Aqa ki ungli ke ishaaray bhool gaye
Jab naam Nabi ka Ay Khalid likha hua kashti par dekha Kashti ko dabone aaye the toofan ke dhaare bhool gaye





