Main maili tan maila mera kirpa karo sarkar Paap ki gathri sar pe uthaye aaye tumre dwar
Dar dar jaana dur dur hona yeh bhi hai imaan Jag daata ki aas pagle sab ka paalnha
Mere khoya beech bhanwar mein kashti doobi jaaye Tera hoon toh meri khabar le kaun lagaye paar
Mujh mangte ki baat hi kya hai woh hain bade lajpal Un ki kirpa aur diya se palta hai sansaar
Un ki ata ke sab gun gao un se hi fariyaad karo Sab se badi haami hai hamari sab se badi sarkar
Un ki yaad imaan bana lo khud ko hi Quran bana lo Un ki yaad se mit jaate hain saare hi aazaar
Un ke karam ki aas hai mujh ko main toh nahin mayoos Khud hi dawa bhi mujh ko denge jin ka hoon bimaar
Kuch toh meri aas bandha do tan man hai bechain Rotay rotay ratiyan beetein kab ho ga deedar
Us ke liye toh sarmaya pyaar Madine wale ka Sochein samjhein kehne wale Khalid ko nadaar





