Qurban main un ki bakhshish ke maqsad bhi zaban par aaya nahin Bin mange diya aur utna diya daman mein hamare samaya nahin
Imaan mila un ke sadqe Quran mila un ke sadqe Rehman mila un ke sadqe woh kya hai jo hum ne paya nahin
Un ka toh shiaar-e-karimi hai mail-ba-karam hi rehte hain Jab yaad kiya ae Salle Ala woh aa hi gaye tarpaya nahin
Jo dushman-e-jaan the un ko bhi di tum ne amaan apnon ki tarah Yeh afw-o-karam Allah Allah yeh khulq kisi ne paya nahin
Woh rehmat kaisi rehmat hai mafhoom samajh lo rehmat ka Us ko bhi gale se lagaya jise apna kisi ne banaya nahin
Moonis hain wahi mazooron ke ghamkhwar hain sab majbooron ke Sarkar-e-Madinah ne tanha kis kis ka bojh uthaya nahin
Awaaz-e-karam deta hi raha thak haar gaye lene wale Mangton ki hamesha laaj rakhi mehroom kabhi lautaya nahin
Rehmat ka bharam bhi tum se hai shafqat ka bharam bhi tum se hai Thukraye huye insaan ko bhi tum ne toh kabhi thukraya nahin
Khurshid-e-qayamat ki tabish mana ke qayamat hi hogi Hum un ke hain ghabrayen kyun kya hum pe Nabi ka saya nahin
Us Mohsin-e-Azam ke yun toh Khalid pe hazaron ehsaan hain Qurban magar us ehsaan ke ehsaan bhi kiya toh jataya nahin





