Gham, tumaniyat-o-taskeen mein dhal jaate hain Jab karam hota hai haalaat badal jaate hain
Un ki rehmat hai khata-posh gunahgaaron par Khote sikke sar-e-bazaar bhi chal jaate hain
Ism-e-Ahmad ka wazifa hai har ik gham ka ilaaj Laakh khatre hon isi naam se tal jaate hain
Aap ke zikr se ik kaif mila karta hai Aur jitne bhi hain asraar woh khul jaate hain
Apni aaghosh mein le leta hai jab un ka karam Zindagi ke sabhi andaaz badal jaate hain
Ishq ki aanch se dil kyun na banega Ka'bah Ishq ki aanch se patthar bhi pighal jaate hain
Rakh hi lete hain bharam un ke karam ke sadqe Jab kisi baat pe deewane machal jaate hain
Aa pare hain tere qadmon mein yeh sun kar hum bhi Jo tere qadmon pe girte hain sambhal jaate hain
Aap ko Ka'bah-e-maqsood hi maano Khalid Aap ke dar pe sab armaan nikal jaate hain





