Tajdaar-e Madinah ke jalwe jin ke dil mein samaye hue hain Door reh karo woh qurb-aashna hain dil Madinah banaaye hue hain Jin ko un ki tawajjuh ne paala, un ki rehmat ne jin ko nawaaza In gadon ka kya poochhte ho woh zamane par chhaaye hue hain Mere Aaqa ki jin pe nazar hai donon aalam ki un ko khabar hai Jin ka maqsood un ka hi dar-e-sare asraar paaye hue hain Aal-e-Athar ka sadaqa ata ho muflisi ka hamari bhala ho Ae sakhi aap ke dirham bhi daaman-e-dil bachaye hue hain Tees paron mein jo likha hai sar basar seerat-e Mustafa hai Un ki seerat mein jo dhal gaya hai us pe rehmat ke saaye hue hain Meri auqat kuch bhi nahi hai khud meri zaat kuch bhi nahi hai Mere Sarkaar ka yeh karam hai baat meri banaye hue hain Muskurate hain un ki gali mein chain paate hain un ki gali mein Woh dukhi jo muqaddar ke haathon chot par chot khaye hue hain Arzoo-e karam dil mein le kar Khalid un ke sakhi Astan par Aghniyaa awliyaa Asfiya sab apne kaase barhaaye hue hain





