Do aalam ke Aaqa salaamun alaykum Naveed-e-Maseeha salaamun alaykum
Tere noor se hai har ik husn paida Tere husn par khud Khuda bhi hai shaida Teri zaat-e-aqdas mein kaunain hain gum Do aalam ke Aaqa salaamun alaykum
Teri nikhat-e-zulf ka naam jannat Nigaahein karam hain adaaein sakhawat Sikhaya hai tune gulon ko tabassum Do aalam ke Aaqa salaamun alaykum
Gire to tumhaare karam ne sambhaala Tumhaari ataa ne do aalam ko paala Khudaai ka matloob-o-maqsood ho tum Do aalam ke Aaqa salaamun alaykum
Tera aastan aarzuon ka haasil Teri zaat amn-o-aalam ki manzil Hai tere safeene ka khaadim talatum Do aalam ke Aaqa salaamun alaykum
Khuda ki mashi'yat tera har ishaara Ziyaarat hai teri Khuda ka nazaara Kalaam-e-Khuda tera husn-e-takallum Do aalam ke Aaqa salaamun alaykum
Tere noor-e-awwal ki jalwa numaai Sifaat-e-Khuda aur saari khudaai Do aalam pe saabit hai tera taqdeem Do aalam ke Aaqa salaamun alaykum
Tumhein to ho Khalid ka deen aur eimaan Tumhein to ho Allah ka khaas ehsaan Tumhein rooh-e-naghmaat kaif-e-tarannum Do aalam ke Aaqa salaamun alaykum





