apne daman-e shafa'at mein chhapaye rakhna mere sarkaar meri baat banaaye rakhna un ke ho jao har aik cheez unhein se maango apne daman mein na ehsaan paraye rakhna jab sawa nizay pe khurshid-e qiyamat aaye apni zulfon ke gunahgar pe saaye rakhna isi mansab ka talabgar hoon main bhi Aqa khak hoon main mujhe qadmon se lagaaye rakhna aur mujh ko na kisi gham mein rulaana ya Rab apne mehboob ke gham mein hi rulaaye rakhna main woh mangta hoon sada khaar mile jis ko phool kashkul mein kaanton ki bajaaye rakhna khud ko dhoonden na khair khud ko hamari aaye apni ulfat mein humein aisa gumaye rakhna aap ki yaad ne aabad kiya hai mujh ko banda parwar meri hasti ko basaaye rakhna Aankh uthaoon to nazar aap ka roza aaye Lauh dil par bhi yehi naqsh jamaaye rakhna main ne mana ke nakma hoon magar aap ka hoon mujh nakme ko bhi sarkar nibhaaye rakhna zarrah khak ko khurshid banane wale apne jalwon se maye dil ko basaaye rakhna shayad is rah se Khalid meray Aqa guzaarein apni palakon ko sar raah bachaye rakhna





