Phirtey hain nazar mein dar-o-deewar-e-Madinah Hain rashk-e-jinaan koocha-o-bazaar-e-Madinah
Yeh noor ki basti hai ke jalwon ka nagar hai Allah re taabani-e-anwaar-e-Madinah
Har saans mein boo-baas hai hub-e-Nabawi ki Mehka gayi rainaai-e-gulzaar-e-Madinah
Paaband-e-adab chahiye saans aur nazar bhi Naazuk hai arsh se bahut darbaar-e-Madinah
Dil kyun na ho ma'moor Shah-e-Deen ke karam se Jab rehte hain dil mein mere sarkar-e-Madinah
Guzrey hain isi rah se khuraamaan Shah-e-Wala Haan Qutub pata dete hain aasaar-e-Madinah





