Paat woh kuch dhaar yeh kuch zaar hum Ya Ilahi kyun kar utrein paar hum
Kis bala ki mai se hain sarshaar hum Din dhala hote nahin hoshiyaar hum
Tum karam se mushtari har aib ke Jins-e-na-maqbool-e-har bazaar hum
Dushmanon ki aankh mein bhi phool tum Doston ki bhi nazar mein khaar hum
Lagzish-e-pa ka sahaara ek tum Girne waale laakhon na-hanjaar hum
Sadqa apne baazuo'n ka al-madad Kaise torein yeh but-e-pindaar hum
Dam-e-qadam ki khair ae Jaan-e-Masih Dar pe laaye hain dil-e-bimaar hum
Apni rehmat ki taraf dekhein Huzoor Jaante hain jaise hain badkaar hum
Apne mehmaanon ka sadqa ek boond Mar mite pyaase idhar Sarkaar hum
Apne koocha se nikala to na do Hain to had bhar ke khudaai khaar hum
Haath utha kar ek tukra ae Kareem Hain sakhi ke maal mein haqdaar hum
Chaandni chhatki hai un ke noor ki Aao dekhein sair-e-Toor-o-naar hum
Himmat ae za'f un ke dar par gir ke hoon Be-takalluf saaya-e-deewaar hum
Ba-ataa tum Shah tum mukhtaar tum Be-nawa hum zaar hum naachaar hum
Tum ne to laakhon ko jaanein pher dein Aisa kitna rakhte hain aazaar hum
Apni sattaari ka ya Rabb waasta Houn na ruswa bar sar-e-darbaar hum
Itni arz-e-aakhiri keh do koi Naao tooti aa pare minjhdaar hum
Munh bhi dekha hai kisi ke afv ka Dekh o isyaan nahin be-yaar hum
Main nisaar aisa musalmaan kijiye Tod daalein nafs ka zunnaar hum
Kab se phailaaye hain daaman tegh-e-ishq Ab to paayein zakhm-e-daaman-daar hum
Sunniyat se khatke sab ki aankh mein Phool ho kar ban gaye kya khaar hum
Na-tawaani ka bhala ho ban gaye Naqsh-e-paaye taalibaan-e-yaar hum
Dil ke tukre nazr-e-haazir laaye hain Ae sagaan-e-koocha-e-dildaar hum
Qismat-e-Thaur-o-Hira ki hirs hai Chahte hain dil mein gehra ghaar hum
Chashm-poshi o karam shaan-e-shuma Kaar-e-ma be-baaki o israar hum
Fasl-e-gul sabza saba masti shabaab Chhorein kis dil se dar-e-khummaar hum
Maikada chhoota hai lillaah Saqiya Ab ke saaghar se na hon hoshiyaar hum
Saqi-e-Tasneem jab tak aa na jaayein Ae siyah masti na hon hoshiyaar hum
Naazishein karte hain aapas mein malak Hain ghulaamaan-e-Shah-e-Abraar hum
Lutf-e-az-khud raftagi ya Rabb naseeb Hoon shaheed-e-jalwa-e-raftaar hum
Un ke aage daawa-e-hasti Razaؔ Kya bake jaata hai yeh har baar hum





