We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Nazar ik chaman se do-chaar hai na chaman chaman bhi nisaar hai Ajab us ke gul ki bahaar hai ki bahaar bulbul-e-zaar hai


Na dil-e-bashar hi figaar hai ki malak bhi is ka shikaar hai Yeh jahan ki hazhdah hazaar hai jise dekho is ka hazaar hai


Nahin sar ki sajda-kunaan na ho na zabaan ki zamzama-khwaan na ho Na woh dil ki is pe tapaan na ho na woh seena jis ko qaraar hai


Woh hai bheeni bheeni wahaan mahak ki basa hai arsh se farsh tak Woh hai pyaari pyaari wahaan chamak ki wahaan ki shab bhi nahaar hai


Koi aur phool kahan khile na jagah hai joshish-e-husn se Na bahaar aur pe rukh kare ki jhapak palak ki to khaar hai


Yeh saman yeh sosan-o-yasaman yeh banafsha sunbul-o-nastaran Gul-o-sarv-o-lala bhara chaman wahi ek jalwa hazaar hai


Yeh saba sanak woh kali chatak yeh zabaan chahak lab-e-joo chhalak Yeh mahak jhalak yeh chamak damak sab usi ke dam ki bahaar hai


Wahi jalwa shahr ba-shahr hai wahi asl-e-aalam-o-dahr hai Wahi bahr hai wahi lahar hai wahi paat hai wahi dhaar hai


Woh na tha to baagh mein kuch na tha woh na ho to baagh ho sab fana Woh hai jaan, jaan se hai baqa wahi ban hai ban se hi baar hai


Yeh adab ki bulbul-e-be-nawa kabhi khul ke kar na sake nawa Na saba ko tez ravish rawa na chhalakti nehron ki dhaar hai


Ba-adab jhuka lo sar-e-wila ki main naam loon gul-o-baagh ka Gul-e-tar Muhammad-e-Mustafa chaman un ka paak diyaar hai


Wahi aankh un ka jo munh take wahi lab ki mahw-e-hon naat ke Wahi sar jo un ke liye jhuke wahi dil jo un pe nisaar hai


Yeh kisi ka husn hai jalwa-gar ki tapaan hain khoobon ke dil jigar Nahin chaak jaib-e-gul-o-sahar ki qamar bhi seena-figaar hai


Wahi nazr-e-shah mein zar-e-nako jo ho un ke ishq mein zard-roo Gul-e-khuld is se ho rang-jo yeh khizaan woh taaza bahaar hai


Jise teri saff-e-ni'aal se mile do nawaale nawaal se Woh bana ki is ke ugaal se bhari saltanat ka udhaar hai


Woh uthein chamak ke tajalliyaan ki mita dein sab ki ta'alliyaan Dil-o-jaan ko bakhshein tasalliyaan tera noor baar-e-du-haar hai


Rusul-o-malak pe durood ho wahi jaane un ke shumaar ko Magar ek aisa dikha to do jo shafee-e-roz-e-shumaar hai


Na hijaab charkh-o-maseeh par na kaleem-o-toor nihaan magar Jo gaya hai arsh se bhi udhar woh Arab ka naqa-sawaar hai


Woh teri tajalli-e-dil-nasheen ki jhalak rahe hain falak zameen Tere sadqe mere mah-e-mubeen meri raat kyon abhi taar hai


Meri zulmaten hain sitam magar tera mah na mehr ki mehr-gar Agar ek chheent pade udhar shab-e-daaj abhi to nahaar hai


Gunah-e-Raza ka hisaab kya woh agarche laakhon se hain siwa Magar ai Afuww tere afw ka na hisaab hai na shumaar hai


Tere deen-e-paak ki woh ziya ki chamak uthi rah-e-istafa Jo na maane aap saqar gaya kahin noor hai kahin naar hai


Koi jaan bas ke mahak rahi kisi dil mein is se khatak rahi Nahin is ke jalwe mein yak rahi kahin phool hai kahin khaar hai


Woh jise Wahabiya ne diya hai laqab shaheed-o-zabeeh ka Woh shaheed-e-Laila-e-Najd tha woh zabeeh-e-tegh-e-khiyaar hai



More Lyrics, Less Storage - Install the App and Ditch the Screenshots!

Get it on Google Play


Yeh hai deen ki taqwiyat us ke ghar yeh hai mustaqeem siraat-e-shar Jo shaqi ke dil mein hai gaao-khar to zabaan pe chodh-ha chamaar hai


Woh Habeeb pyara to umr bhar kare faiz-o-jood hi sar-ba-sar Are tujh ko khaye tap-e-saqar tere dil mein kis se bukhaar hai


Woh Raza ke neza ki maar hai ki adu ke seena mein ghaar hai Kise chaara-joi ka waar hai ki yeh waar waar se paar hai

No More Screenshots! Save Storage with Our Lyrics App!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah