Nabi aaj paida hua chahta hai Yeh Kaaba ghar us ka hua chahta hai
Alam nasb hai jis ka Kaaba ki chhat par Buland us ka shohra hua chahta hai
Na kyun aaj Kaaba bane rashk-e-gulshan Woh gul jalwa farma hua chahta hai
Yeh ro ro ke aapas mein but keh rahe hain Khuda jaane ab kya hua chahta hai
Tari hai samawa mein Sawa mein khushki Naya ab zamana hua chahta hai
Nida aa rahi hai ke Haq ke qamar ka Jahan mein ujala hua chahta hai
Wuhoosh o tuyoor aaj goya hain baham Ke rehmat ka daura hua chahta hai
Kharide ga isyaan ko rehmat ke badle Kharidar paida hua chahta hai
Yeh aalam banaya hai jis ka barati Huwaida woh dulha hua chahta hai
Jo aalam ko qatre se sairab kar de Rawaan aisa darya hua chahta hai
Falak ke sitare jhuke aa rahe hain Ke paida woh Maula hua chahta hai
Khuda ke khazano ka mukhtar o hakim Shah-e-deen o dunya hua chahta hai
Salatin-e-aalam gada hon ke us ka Do-aalam pe qabza hua chahta hai
Kahanat ke daftar pe aayi tabahi Malaik ka pehra hua chahta hai
Yeh kehte hain ashjar o ahjar baham Nabi zeb-e-dunya hua chahta hai
Malaik mu'addab rahein hukm-e-Haq hai Ke mehboob paida hua chahta hai
Utho behr-e-tazeem ae ahl-e-mehfil Nabi jalwa farma hua chahta hai
Salat o salam arz kar ae Jameel ab Ijabt ka dar wa hua chahta hai





