Naat-go hai Khuda naat-khwaan aasman Phool baante zameen, kehkashan aasman
Un ki masjid se choti hai saari zameen Un ke qadmon tale baikaraan aasman
Aalam-e-hast-o-bood aap ki naao mein Aapؐ ki naao ke baadbaan aasman
Aapؐ ka maqsad-e-jaan Khuda hi Khuda Aapؐ ke tazkire aasman aasman
Aapؐ ke paaon ki gard hai roshni Aapؐ ki mashalon ka dhuaan aasman
Sabt is mor par aapؐ ki aahatein Mil raha hai zameen se jahan aasman
Yeh hayaat aapؐ ki, kainat aapؐ ki Aap ki azmaton ka nishan aasman





