Na mere sukhan ko sukhan kaho Na meri nawa ko nawa kaho Meri jaan ko sahn-e-haram kaho Mere dil ko ghār-e-Hira kaho
Main likhoon jo madh-e-shah-e-umam Par Jibraeel bane qalam Main hoon ek zarra-e-be-daram Magar aaftab-e-sana kaho
Talab-e-shah-e-Arabi karoon Main tawaf-e-hub-e-Nabi karoon Magar ek be-adabi karoon Mujhe us gali ka gada kaho
Na dhanak na tara na phool hoon Qadam-e-Huzoor ki dhool hoon Main shaheed-e-ishq-e-Rasool hoon Meri maut ko bhi baqa kaho
Jo ghareeb-e-ishq-e-naward ho Usay kyun na khwahish-e-dard ho Mera chehra kitna hi zard ho Meri zindagi ko hara kaho
Mile aap se sanad-e-wafa Ho buland martaba-e-safa Main kahoon Muhammad ﷺ Mustafa Kaho tum bhi salli ala kaho
Woh payam hai ke payam bar Woh hamare jaisa nahi magar Woh hai ek aaina-e-bashar Magar us ko aks-e-Khuda kaho
Yeh Muzaffar aisa makeen hai Ke falak pe jis ki zameen hai Yeh sag-e-Buraq nasheen hai Usay shahsawar-e-saba kaho





