Na mayus ho mere dukh dard wale Dar-e-Shah pe aa har marz ki dawa le
Jo bimar-e-gham le raha ho sambhale Woh chahe to dam bhar mein us ko sambhale
Na kar is tarah ae dil-e-zar nale Woh hain sab ki faryad ke sunne wale
Koi dam mein ab doobta hai safina Khudara khabar meri ae nakhuda le
Safar kar khayal-e-rukh-e-Shah mein ae jaan Musafir nikal ja ujale ujale
Tahi dast-o-sauda-e-bazar-e-mahshar Meri laaj rakh le mere Taj wale
Zahe shaukat-e-astan-e-mu’alla Yahan sar jhukate hain sab Taj wale
Siwa tere ae nakhuda-e-ghariban Woh hai kaun jo doobton ko nikale
Yehi arz karte hain shairan-e-alam Ke tu apne kutton ka kutta banale
Jise apni mushkil ho asan karni Faqiran-e-Taiba se aakar dua le
Khuda ka karam dastgiri ko aaye Tera naam le lein agar girne wale
Dar-e-Shah par ae dil muradein milengi Yahan baith kar hath sab se uthale
Ghara hoon main isyan ki tarikiyon mein Khabar meri ae mere Badrud-duja le
Faqiron ko milta hai be-mange sab kuch Yahan jante hi nahin tale bale
Lagaye hain paiwand kapron mein apne Urhae faqiron ko tum ne doshale
Mita kufr ko deen chamka de apna Banen masjidein toot jayen shiwale
Jo pesh-e-sanam sar jhukate the apne Bane teri rehmat se Allah wale
Nigahe ze chashm-e-karam bar Hasan kun Ba-kuye-t rasidest ashufta hale





