We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Na Ho Aram Jis Bimar KoNot Verified

Hassan Raza Khan Barelvi

Na ho aaram jis bimaar ko saare zamane se Utha le jaaye thodi khaak unke aastane se


Tumhare dar ke tukdon se pada milta hai ek aalam Guzara sab ka hota hai isi mohtaj khane se


Koi firdaus ho ya khuld ho hum ko gharz matlab Lagaya ab to bistar aap hi ke aastane se


Na kyun un ki taraf Allah sau sau pyaar se dekhe Jo apni aankhein milte hain tumhare aastane se


Zameen thodi si de de bahr-e-madfan apne koocha mein Laga de mere pyaare meri mitti bhi thikane se



Get Lyrics On-The-Go! Download Our App Now!

Get it on Google Play


Na pahunche un ke qadmon tak na kuch husn-e-amal hi hai Hasan kya poochte ho hum gaye guzre zamane se

More Lyrics, Less Storage - Install the App and Ditch the Screenshots!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah