Na ho aaram jis bimar ko saare zamane se Utha le jaaye thodi khaak unke aastane se
Tumhare dar ke tukdon se pada palta hai ik aalam Guzara sab ka hota hai isi mohtaj khane se
Shab-e-Isra ke dulha par nichawar hone wali thi Nahi toh kya gharaz thi itni jaano ke banane se
Koi firdous ho ya khuld ho hum ko gharaz matlab Lagaya ab toh bistar aap hi ke aastane se
Na kyun un ki taraf Allah sau sau pyaar se dekhe Jo apni aankhein milte hain tumhare aastane se
Tumhare toh woh ehsaan aur yeh na-farmaniyan apni Hamein toh sharm si aati hai tum ko munh dikhane se
Bahar-e-khuld sadqe ho rahi hai roo-e-ashiq par Khuli jaati hain kaliyan dil ki tere muskurane se
Zameen thodi si de de bahr-e-madfan apne koocha mein Laga de mere pyaare meri mitti bhi thikane se
Palat-ta hai jo zaair us se kehta hai naseeb us ka Are ghaafil qaza behtar hai yaan se phir ke jaane se
Bulalo apne dar par ab toh hum khana-badoshon ko Phirein kab tak zaleel-o-khwar dar dar be-thikane se
Na pahunche un ke qadmon tak na kuch husn-e-amal hi hai Hassan kya puchte ho hum gaye guzre zamane se





