Na Arsh-e-Ameen na inni dhahibun mein mehmani hai Na lutf-e-udnu ya Ahmadan naseeb Lan Tarani hai
Naseeb-e-dostan gar un ke dar par maut aani hai Khuda yun hi kare phir toh hamesha zindagani hai
Usi dar par tarapte hain machalte hain bilakte hain Utha jata nahi kya khoob apni natwani hai
Har ik deewar-o-dar par mehar ne ki hai jabeen saai Nigar-e-Masjid-e-Aqdas mein kab sone ka paani hai
Tere mangta ki khamoshi shafa’at khwah hai us ki Zuban-e-be-zubani tarjuman-e-khasta jani hai
Khule kya raaz-e-mehboob-o-muhib mastan-e-ghaflat par Sharab-e-Qad ra’al haqq zeb-e-jaam-e-man ra’ani hai
Jahan ki khak-robi ne chaman aara kiya tujh ko Saba hum ne bhi un galiyon ki kuch din khak chhani hai
Shaha kya zaat teri haqq numa hai fard-e-imkan mein Ke tujh se koi awwal hai na tera koi saani hai
Kahan us ko shak-e-jaan-e-jinan mein zar ki naqashi Iram ke taair-e-rang-e-pareeda ki nishani hai
Dhiyabun fi thiyabin lab pe kalma dil mein gustakhi Salam Islam mulhid ko ke tasleem-e-zubani hai
Yeh aksar sath un ke shana-o-miswak ka rehna Batata hai ke dil-reshon pe zaaid meherbani hai
Usi sarkar se dunya-o-deen milte hain sail ko Yehi darbar-e-aali kanz-e-aamal-o-amani hai
Duroodein surat-e-hala muheet-e-maah-e-Taibah hain Barasta ummat-e-aasi pe ab rehmat ka paani hai
Ta’ala Allah istighna tere dar ke gadaon ka Ke in ko aar-e-far-o-shaukat-e-sahib qirani hai
Woh sar-garm-e-shafa’at hain araq afshan hai peshani Karam ka itar sandal ki zameen rehmat ki ghani hai
Yeh sar ho aur woh khak-e-dar woh khak-e-dar ho aur yeh sar Raza woh bhi agar chahein toh ab dil mein yeh thani hai





