Na aasman ko yun sarkashida hona tha Huzur-e-khak-e-Madinah khamida hona tha
Agar gulon ko khazan narasida hona tha Kinar-e-khar-e-Madinah damida hona tha
Huzur un ke khilaf-e-adab thi betabi Meri ummeed! tujhe aarmida hona tha
Nazara khak-e-Madinah ka aur teri aankh Na isqadar bhi Qamar shokh-dida hona tha
Kinar-e-khak-e-Madinah mein raahatein milteen Dil-e-hazein! tujhe ashk chakida hona tha
Panah-e-daman-e-dasht-e-Haram mein chain aata Na sabr dil ko ghazal-e-ramida hona tha
Yeh kaise khulta ke unke siwa shafi nahi Abas na auron ke aage tapida hona tha
Hilal kaise na banta ke mah-e-kamil ko Salam-e-abru-e-Shah mein khamida hona tha
La-amla-anna Jahannama tha wa'da-e-azali Na munkiron ka abas bad-aqida hona tha
Naseem kyon na shameem un ki Taiba se lati Ke subh-e-gul ko gareban darida hona tha
Tapakta rang-e-junun ishq-e-Shah mein har gul se Rag-e-bahar ko nashtar rasida hona tha
Baja tha arsh pe khak-e-mazar-e-pak ko naaz Ke tujh sa arsh-nasheen aafrida hona tha
Guzarte jaan se ek shor "Ya Habib" ke sath Fughan ko nala-e-halq-burida hona tha
Mere Karim gunah zahr hai magar aakhir Koi to shahd-e-shafa'at chashida hona tha
Jo sang-e-dar pe jabeen-saiyon mein tha mitna To meri jaan sharar-e-jahida hona tha
Tiri qaba ke na kyon niche niche daman hon Ke khaksaron se yaan kab kashida hona tha
Razaؔ jo dil ko banana tha jalwa-gah-e-Habib To pyare qaid-e-khudi se rahida hona tha





