Mujdah baad ae aasiyo! Shafi-e-Shah-e-Abrar hai Tahniyat ae mujrimo! Zaat-e-Khuda Ghaffar hai
Arsh sa farsh-e-zameen hai farsh-e-pa Arsh-e-bareen Kya nirali tarz ki naam-e-Khuda raftar hai
Chand shaq ho pair bolein janwar sajde karein BarakAllah marja-e-alam yahi sarkar hai
Jin ko su-e-aasman phaila ke jal thal bhar diye Sadqa un hathon ka pyare hum ko bhi darkar hai
Lab zulal-e-chashma-e-Kun mein gundhe waqt-e-khameer Murde zinda karna ae jaan tum ko kya dushwar hai
Gore gore paon chamka do Khuda ke waste Noor ka tadka ho pyare gor ki shab-e-taar hai
Tere hi daman pe har aasi ki padti hai nazar Ek jaan-e-be-khata par do jahan ka baar hai
Josh-e-toofan bahr-e-be-payan hua na-sazgar Nooh ke Maula karam kar le to beda paar hai
Rahmatullil'alameen teri duhai dab gaya Ab to Maula be-tarah sar par gunah ka baar hai
Hairatein hain aaina-dar-e-vufoor-e-wasf-e-Gul Un ke bulbul ki khamoshi bhi lab-e-izhaar hai
Goonj goonj uthe hain naghmat-e-Raza se bostan Kyun na ho kis phool ki midhat mein va minqar hai





