Mu'ti-e-matlab tumhara har ishara hogaya Jab ishara hogaya matlab hamara hogaya
Doobton ka Ya Nabi kehte hi beda paar tha Gham kinare hogaye paida kinara hogaya
Teri tal'at se zameen ke zarre mah-pare bane Teri haibat se falak ka mah do para hogaya
Allah Allah mahv-e-husn-e-roo-e-jana ke naseeb Band karlein jis ghari aankhein nazara hogaya
Yun to sab paida huye hain aap hi ke vaaste Qismat us ki hai jise keh do hamara hogaya
Teergi-e-baatil ki chhayi thi jahan tareek tha Uth gaya parda tera haq aashkara hogaya
Kyun na dam dein marne wale marg-e-ishq-e-paak par Jaan di aur zindagani ka sahara hogaya
Naam tera zikr tera tu tera pyara khayal Natavano besaharon ka sahara hogaya
Zarra-e-koo-e-Habibullah re tere naseeb Paon par kar Arsh ki aankhon ka tara hogaya
Tere Sani' se koi pooche tera husn-o-jamal Khud banaya aur bana kar khud hi pyara hogaya
Hum kameenon ka unhein aaram tha itna pasand Gham khushi se dukh tah-e-dil se gawara hogaya
Kyun na ho tum maalik-e-mulk-e-Khuda milk-e-Khuda Sab tumhara hai Khuda hi jab tumhara hogaya
Roz-e-mahshar ke alam ka dushmanon ko khauf ho Dukh hamara aap ko kis din gawara hogaya
Jo azal mein thi wahi tal'at wahi tanveer hai Aaina se yeh hua jalwa dobara hogaya
Tu hi ne to Misr mein Yusuf ko Yusuf kardiya Tu hi to Yaqub ki aankhon ka tara hogaya
Hum bhikari kya hamari bheek kis ginti mein hai Tere dar se badshahon ka guzara hogaya
Ae Hasan qurban jaaun us jamal-e-paak par Saikron pardon mein reh kar aalam ara hogaya





