Mustafa-e-zaat-e-yakta aap hain Yek ne jis ko yek banaya aap hain
Aap jaisa koi ho sakta nahin Apni har khoobi mein tanha aap hain
Aab-o-gil mein noor ki pehli kiran Jaan-e-Adam jaan-e-Hawwa aap hain
Husn-e-awwal ki namood-e-awwaleen Bazm-e-aakhir ka ujala aap hain
La-makan tak jis ki phaili roshni Woh charagh-e-aalam ara aap hain
Hai namak jis ka khameer husn mein Woh maleeh-e-husn ara aap hain
Zeb-o-zeen-e-khaak-o-fakhr-e-khaakiyaan Zeenat-e-arsh-e-mualla aap hain
Naazish-e-arsh-o-waqar-e-arshiyaan Sahib-e-qausain-o-adna aap hain
Aap ki tal’at Khuda ka aaeena Jis mein chamke haq ka jalwa aap hain
Aap ki ru’iyat hai deedar-e-Khuda Jalwa-gah-e-Haq Ta’ala aap hain
Aap ko Rabb ne kiya apna habeeb Saari khilqat ka khulasa aap hain
Aap ki khatir banaye do jahan Apni khatir jo banaya aap hain
Jaan tu’i jaanaan qarar-e-jaan tu’i Jaan-e-jaan jaan-e-maseeha aap hain
Paikar-e-har shai mein jaan ban kar nihan Pardon pardon mein huwaida aap hain
Aap se khud aap ka sa’il hoon main Jaan-e-jaan meri tamanna aap hain
Aap ki tal’at ko dekha jaan di Qabr mein pahuncha to dekha aap hain
Bar darat aamad gada behr-e-sawaal Ho bhala Akhtar ka daata aap hain





