Mujh ko duniya ki daulat na zar chahiye Mah-e-Tayyabah ki meethi nazar chahiye
Haath uthte hi bar aaye har mudda Woh duaon mein meri asar chahiye
Aashiqan-e-Nabi ke hai dil ki sada Sabz gumbad ke saaye mein ghar chahiye
Zauq aata rahe ashk behte rahein Muztarib qalb aur chashm-e-tar chahiye
Raat din ishq mein tere tadpa karoon Ya Nabi aisa soz-e-jigar chahiye
Ya Khuda jism se jaan jab ho juda Jalwa-e-Yaar pesh-e-nazar chahiye
Mujh ko Tayyabah mein do gaz zameen dijiye Bas na kuch aur Khair-ul-Bashar chahiye
Hum ghareebon ko roza pe bulwaiye Raah-e-Tayyabah ka zaad-e-safar chahiye
Apne Attar ko dar pe bulwaiye Izn-e-Tayyabah ka baar-e-digar chahiye





