Muhammad mazhar-e-kamil hai Haq ki shan-e-izzat ka Nazar aata hai is kasrat mein kuch andaaz wahdat ka
Yahi hai asl-e-aalam maddah-e-ijaad-e-khilqat ka Yahan wahdat mein barpa hai ajab hangama kasrat ka
Gada bhi muntazir hai khuld mein nekon ki dawat ka Khuda din khair se laye sakhi ke ghar ziyafat ka
Gunah maghfoor, dil roshan, khunak aankhein, jigar thanda Ta'ala Allah! Mah-e-Taibah aalam teri tal'at ka
Na rakhi gul ke josh-e-husn ne gulshan mein ja baqi Chatakta phir kahan ghuncha koi baagh-e-risalat ka
Barha ye silsila rahmat ka daur-e-zulf-e-wala mein Tasalsul kale koson reh gaya isyaan ki zulmat ka
Saff-e-maatam uthe, khaali ho zindan, tootein zanjeerein Gunahgaro! chalo Maula ne dar khola hai jannat ka
Sikhaya hai ye kis gustaakh ne aaina ko ya Rab Nazzara-e-ru-e-jaanan ka bahana kar ke hairat ka
Idhar ummat ki hasrat par udhar Khaliq ki rahmat par Nirala taur hoga gardish-e-chashm-e-shafa'at ka
Barhein is darja maujein kasrat-e-afzaal-e-wala ki Kinara mil gaya us nehar se darya-e-wahdat ka
Kham-e-zulf-e-Nabi Sajid hai mehrab-e-do abru mein Ke Ya Rab tu hi waali hai siyah-karan-e-ummat ka
Madad ae joshish-e-girya baha de koh aur sehra Nazar aa jaye jalwa be-hijab us paak turbat ka
Huye kamkhwab-e-hijran mein saton parde kamkhwabi Tasawwur khoob bandha aankhon ne astar-e-turbat ka
Yahan chirka namak waan marham-e-kafoor haath aaya Dil-e-zakhmi namak-parwarda hai kis ki malahat ka
Ilahi muntazir hoon wo khiram-e-naaz farmayein Bicha rakha hai farsh aankhon ne kamkhwab-e-basarat ka
Na ho Aqa ko sajda Aadam-o-Yusuf ko sajda ho Magar sadd-e-zaraye' daab hai apni shariat ka
Zaban-e-khaar kis kis dard se un ko sunati hai Tadapna dasht-e-Taibah mein jigar afgaar-e-furqat ka
Sirhane un ke bismil ke ye betabi ka maatam hai Shah-e-Kausar tarahhum tishna jata hai ziyarat ka
Jinhein marqad mein ta-hashr ummati keh kar pukaro ge Hamein bhi yaad kar lo un mein sadqa apni rahmat ka
Wo chamkein bijliyan Ya Rab tajalliya-e-jaanan se Ke chashm-e-Toor ka surma ho dil mushtaq-e-ru'yat ka
Raza-e-khasta! josh-e-bahr-e-isyaan se na ghabrana Kabhi to haath aa jaye ga daman un ki rahmat ka
Yaqeen hai waqt-e-jalwa lagzishein paye-nigah paye Mile josh-e-safa-e-jism se pabos-e-Hazrat ka





