Mubarak ho woh Shah-e-parday say bahar honay wala hai Gadayi ko zamana jis kay dar par aanay wala hai
Faqiron say kaho hazir ho jo mangain gay payain gay Keh Sultan-e-Jahan mohtaj parwar aanay wala hai
Kahan hain tooti umeedain kahan hain bay-saharay dil Keh woh faryad ras bay-kas ka yawar aanay wala hai
Thikana bay-thikanon ka sahara bay-saharon ka Ghareebon ki madad bay-kas ka yawar aanay wala hai
Gunahgaro na ho mayoos tum apni rihayi say Madad ko woh Shafee-e-roz-e-mahshar aanay wala hai
Salateen-e-zamana jis kay dar par bheek mangain gay Faqiron ko mubarak woh tunagar aanay wala hai
Bar ayain gi muradain hasratain ho jayain gi poori Keh woh mukhtar-e-kul aalam ka sarwar aanay wala hai
Hassan keh dain uthain sab ummati tazeem ki khatir Keh apna peshwa apna payambar aanay wala hai





