Mere mahboob ka milad mane walo Khush hua tum pe khuda bazm sajaane walo
Tum ko paighaam Madinah se hai aane wala Ho gaya tum pe karam naat sunaane walo
Un ki zulfoon ki qasam loge muraden saari Un ki sarkaar mein daaman ko bichhaane walo
Apne honton pe duroodoon ke taraane rakhna Shah-eKunin ke darbaar mein aane walo
Ya Rasool Allah ye naroN ko saja lo lab par Ghar mein Sarkaar-e-Do-Aalam ko bulaane walo
Haq ne tathir ka khilat hai sajaaya tum ko Ay mere pak Muhammad ﷺ ke gharane walo
Loot lo aap ki rahmat ke khazaane sa'im Sadaqa mahboob ki aamad ka lataane walo





