Meethay Madinay mein bula, ae aakhri Nabi Phir Gumbad-e-Khizra dikha, ae aakhri Nabi
Aakar karoon rotay huay Kaabay ka main tawaaf Makkah kay jalway phir dikha, ae aakhri Nabi
Rab ki ibaadat ki mujhay taufeeq chahiye Farmayiye Haq say dua, ae aakhri Nabi
Kar apni, apni Aal ki, As-haab-e-paak ki Ulfat mein gum Ya Mustafa, ae aakhri Nabi
Dunya ki ulfat mein na rooon kaash! main kabhi Bas ishq mein apnay rula, ae aakhri Nabi
Hai dast-basta sar jhuka kar arz-e-Sayyidi Tu khwab mein jalwa dikha, ae aakhri Nabi
Aalaishon say paak kar kay meray dil mein tu Aaja sama ja ghar bana, ae aakhri Nabi
Sab ambiya kay ho tumhein sardar lajaram Tum sa nahin hai doosra, ae aakhri Nabi
Baad aap kay hargiz na aayay ga Nabi naya Wallah! imaan hai mera, ae aakhri Nabi
Imaan ki salamti ki bheek ho ataa Khaali na ab dar say phira, ae aakhri Nabi
Sarkar! isyaan kay marz say neem jaan hoon De do khudara ab shifa, ae aakhri Nabi
Aaqa! sunehri jaaliyon kay roo-ba-roo ho kaash Imaan pay mera khatma ae aakhri Nabi
De day shafa'at ki mujhay khairaat khair say Roz-e-qayamat bakhshwa, ae aakhri Nabi
Naar-e-jahannum say bacha kar hashr mein mujhay Qadmon mein jannat mein basa, ae aakhri Nabi
Ab waqt-e-rihlat aa gaya Attar-e-zaar ka Jalwa dikha, kalma parha, ae aakhri Nabi





