Man mohne Nabi Makki Madani hum par bhi karam farma jana Tori deed ke pyase baithe hain mere Shaha pyas bujha jana
Lajpalon ke lajpal Nabi mori kutiyan mein bhi aao kabhi Tori raah takoon main karoon banti mere soye bhaag jaga jana
Dukh dard ki baatan kase karoon har waqt tumhara naam japoon Aave chain na tujh bin nainan ko Allah jamal dikha jana
Tere naam ka sadqa khate hain hum tere hi gun gaate hain Koi jaane jaane na jaane hum ne to tumhein Data jana
Mehboob bhi woh mehboob-e-Khuda woh had se hain siwa Ae aql ke andho! tum ne unhein kyonkar apne jaisa jana
Hum par bhi karam ki kijo nazar qismat mein rahe Taiba ka safar Sarkar tumhari galiyon mein mangton ka rahe aana jana
Tu aisa samundar hai jis ki azmat ka kinara koi nahin Woh shaan teri sujha hi nahin jis ne bhi tujhe dariya jana
Yak chashm-e-karam ya Shah-e-Umam teri zaat hai dono jahan ka bharam Ae jaan-e-baharan naghat-e-gul mera sara chaman mehka jana
Ho khair tere paimane ki dhoom tere maikhane ki Ik jaam nawason ka sadqa Sarkar humein pila jana
Yeh kitna karam Allah ka hua yeh kitna bada aizaz mila Dunya ne Niazi ko Shaha jana to tera mangta jana





