May-e-mehboob se sarshar karde Uwais-e-Qarni ko jaisa kiya hai
Guma de apni ulfat mein kuch aisa Na paaun mein mein-mein jo be-baqa hai
Pila de maye ke ghaflat door karde Mujhe duniya ne ghafil kar diya hai
Ata farma de Saqi jaam-e-Noori Labalab jo chahiton ko diya hai
Sana likhni hai mehboob-e-Khuda ki Khuda hi jin ki azmat jaanta hai
Main tere faiz se kuch keh sakoon ga Main kya hoon aur mera yaara hi kya hai
Suna ae bulbul-e-bagh-e-Madinah Tarana aur dil yeh chahta hai
Suna Noori ghazal us ki sana mein Sana jis ki sana-e-Kibriya hai





