Machi hai dhoom payambar ki aamad aamad hai Habib-e-Khaliq-e-Akbar ki aamad aamad hai
Kya hai sabz alam nasb baam-e-Ka'aba par Ke do jahan ke sarwar ki aamad aamad hai
Na kyun ho noor se tabdeel kufr ki zulmat Khuda ke mah-e-munawwar ki aamad aamad hai
Hai Jibra'eel ko hukm-e-Khuda khabar kardo Ke aaj haq ke payambar ki aamad aamad hai
Khushi ke josh mein hain bulbulen bhi naghma kunaan Chaman mein aaj gul-e-tar ki aamad aamad hai
Dozanu ho ke adab se parho salat-o-salam Azezo khalq ke masdar ki aamad aamad hai
Jameel Qadri keh de kharay hon ahl-e-sunan Hamare haami-o-yawar ki aamad aamad hai





