Machi hai dhoom tahmeed-o-sana ki Sadayein aati hain salli ala ki
Mohabbat jis ko hai Khair-ul-Wara ki Inayat us pe hai har dam Khuda ki
Jinhon ne khalq ki haajat rawa ki Unhi se hum ne apni iltija ki
Madad karna meri ae Nasir-e-khalq Ke mere nafs-e-kafir ne dagha ki
Madad ki har musibat se bachaya Duhai jab bhi di Shah-e-Huda ki
Main hoon jin ka wahi hain mere shafi To phir kyun fikr ho roz-e-jaza ki
Gunah-garon mubarak baad tum ko Woh rakhte hain mohabbat inteha ki
Khuda farmaye jab Quran mein Yaseen Sana phir kya ho durr-e-be-baha ki
Hain taban mehr-o-mah anjum darakhshan Ziya hai ariz-e-Badr-ud-Duja ki
Tamami ambiya aaye mubashir Khabar awwal se thi us mubtada ki
Shab-e-Meraj jab Aqsa mein pohunche Rasoolon ne unhi ki iqtida ki
Do-alam ne'amaton se bhar diya hai Bhala kuch inteha hai us ata ki
Duayein de rahe hain dushmanon ko Yeh shan-e-hilm hai kaan-e-sakha ki
Usi dar ke hain hum mangta bhikhari Jahan par bheer hai shah-o-gada ki
Samee Nasir jin ke hain alqab Woh sunte hain pukar apne gada ki
Hain sab arz-o-sama-o-arsh roshan Chamak hai jalwa-haye janfiza ki
Kaha ja-oo-ka ne aao yahan par Ma'afi milti hai har ik khata ki
Tasawwuf chahiye gar tujh ko soofi Ita'at kar Imam-ul-Asfiya ki
Ata foran kiya jo kuch bhi manga Yahan haajat agar ki hai na la ki
Azal ke roz se kawn-o-makan mein Unhi ke naam ki naubat baja ki
Farishton ne kiya Adam ko sajda Yeh thi ta'zeem noor-e-Mustafa ki
Hawa mardood la'nat ka para toq Ibadat ki bhi Najdi ne to kya ki
Karam un ka inayat hai yeh un ki Khabar lete hain mujh jaise gada ki
Mujhe banda kiya Shah-e-Huda ka Bari rahmat hui Rabb-ul-Ula ki
Ho muzdah aasiyon ko roz-e-mahshar Sadayein aayengi inni laha ki
Badaulat naqsh-e-paye Mustafa ke Barhi izzat hareem-e-Kibriya ki
Tumhara aastana mil gaya jab Mujhe khwahish ho kyun Dar-ul-Shifa ki
Hamesha main ne nafarmaniyan keen Inayat tum ne mujh par da'iman ki
Khuda ne kar liya mehboob apna Khusha qismat muhibb-e-Mustafa ki
Meri taqdeer mein likha hua hai Karam haq ka shafa'at Mustafa ki
Tumhara rooye anwar dekhte hi Nazar aane lagi qudrat Khuda ki
Yeh farmaya Shab-e-Isra Khuda ne Ke teri ummat-e-aasi raha ki
Kiya aflak ko do gaam mein tay Yeh tezi hai Buraq-e-barq pa ki
Salateen-e-zamana ne ba-sad aajz Tumhare dar pe arz-e-mudda'a ki
Woh pohunchi darja-e-maqbooliyat par Tumhara naam le kar jo dua ki
Abhi jee uthe murday kalma parhte Hawa pohunche jo daman-e-qaba ki
Utha kar le gayin hoorein jinan mein Qadam par un ke jis ne jaan fida ki
Andheri raat hai waqt-e-madad hai Ghata chhayi hui hai kis bala ki
Luta jata hai jangal mein akela Khudara lo khabar is be-nawa ki
Bhanwar mein phans gayi kashti hamari Duhai doobton ke nakhuda ki
Jameel Qadri taqdeer chamki Ke khidmat mil gayi Murshid Raza ki





