Lootne rahmaten qafilay mein chalo Seekhne sunnatain qafilay mein chalo
Chaaho gar barkatain qafilay mein chalo Paoge azmatain qafilay mein chalo
Hon gi hal mushkilain qafilay mein chalo Khatm hon shamatain qafilay mein chalo
Taibah ki justuju hajj ki gar aarzu Hai bata doon tumhein qafilay mein chalo
Ulfat-e-Mustafa aur khauf-e-Khuda Chahiye gar tumhein qafilay mein chalo
Gar Madinay ka gham chahiye chashm-e-nam Lene yeh ne’amatain qafilay mein chalo
Qarz hoga ada aake maango dua Paoge barkatain qafilay mein chalo
Dukh ka darman milay aayenge din bhalay Khatm hon gardishain qafilay mein chalo
Gham ke badal chhatein khoob khushiyan milein Dil ki kaliyan khilein qafilay mein chalo
Ho qawi hafizah theek ho hazimah Kaam saaray banein qafilay mein chalo
Ilm hasil karo jahl zail karo Pao gay rahatain qafilay mein chalo
Qarz ka baar ho, be-kasi yaar ho Chaaho gar rahatain qafilay mein chalo
Garchih hon garmiyan ya keh hon sardiyan Chaahay hon barishain qafilay mein chalo
Kaundain gar bijliyan ya chalein aandhiyan Chaahay oulay padein qafilay mein chalo
Baarah mah keliye tees din keliye Baarah din de hi dein qafilay mein chalo
Sunnatain seekhne teen din keliye Har mahinay chalein qafilay mein chalo
Ae mere bhaiyo! rat lagatay raho Qafilay mein chalein qafilay mein chalo
Phone par baat ho ya mulaqat ho Sab se kehte rahein qafilay mein chalo
Aap bazaar mein hon ya daftar mein hon Sab se kehte rahein qafilay mein chalo
Dars dein ya sunain ya bayan jo karein Is mein yeh bhi kahein qafilay mein chalo
Aashiqan-e-Rasool un se hum Madani phool Aao lene chalein qafilay mein chalo
Aashiqan-e-Rasool aaye lene dua Aao mil kar chalein qafilay mein chalo
Aashiqan-e-Rasool aaye hain marhaba Khair khwahi karein qafilay mein chalo
Aap jab bhi sunain qafila aa gaya Khair khwahi karein qafilay mein chalo
Khana le ke chalein thanda sharbat bhi lein Khair khwahi karein qafilay mein chalo
Un pe hon rahmatain qafilay ka sunain Khair khwahi karein qafilay mein chalo
Bakhsh de mere Maula tu un ko keh jo Khair khwahi karein qafilay mein chalo
Ya Khuda har ghari rat ho Attar ki Qafilay mein chalein qafilay mein chalo





