Likh raha hoon naat-e-saroor sabz gunbad dekh kar Kaif taari hai qalam par sabz gunbad dekh kar
Hai muqaddar yaari par sabz sabz gunbad dekh kar Phir na kyon jhoome sanaagar sabz gunbad dekh kar
Masjid-e Nabvi pe pahunche marhaba salli ala Hogaya jaari zamān par sabz gunbad dekh kar
Aap se bas aap hi ko maangta hai ya Nabi ﷺ Aap ka adni sanaagar sabz gunbad dekh kar
Dhoop rozana Madinah choomti hai jhoom kar Aur lipat jaati hai aakar sabz gunbad dekh kar
Aah ae Attar tujh se itna bhi na ho saka Jaan kar deta nichhaavaar sabz gunbad dekh kar





