Lab-e-Kauthar hai mela tishna-kaaman-e-mohabbat ka Woh ubla dast-e-Saqi se woh ubla chashma sharbat ka
Yeh aalam ambiya par un ke sarwar ki inayat ka Jise dekho liye jaata hai parwana shafa'at ka
Pila de apni nazron se chalakta jaam-e-ru'iyat ka Shah-e-Kauthar tarahhum tishna jaata hai ziarat ka
Wohi jo Rahmat-ul-lil-Alameen hain jaan-e-aalam hain Bada bhai kahe un ko koi andha baseerat ka
Mah-o-khursheed-o-anjum mein chamak apni nahin kuch bhi Ujala hai haqeeqat mein unhin ki paak tal'at ka
Bhatakta yun phire kab tak tumhara Akhtar-e-khasta Dikha do raasta us ko khudara shehar-e-ulfat ka





