Kyunkar na ho Makkah se siwa shaan-e-Madinah Woh jabke hua maskan-e-Sultan-e-Madinah
Makkah ko sharaf hai to Madinah ke sabab se Is waaste Makkah bhi hai qurban-e-Madinah
Hota hai falak ka sar-e-tasleem yahan kham Allah re bulandi teri aiwan-e-Madinah
Aate hain sar-e-ajz jhukaye hue lakhon Shahan-e-jahan pesh-e-gadayan-e-Madinah
Bulbul kabhi bhoole se na le naam chaman ka Dekha hi nahi usne gulistan-e-Madinah
Lakhon ne lagaye hain tere koocha mein bistar Thodi si jagah hum ko bhi ae jaan-e-Madinah
Pohncha de tu mehboob ke dar par mujhe Ya Rab Le jaaun na duniya se main arman-e-Madinah
Samjhun ga hui Eid mubarak mujhe jis dam Ho jaye ga yeh sar mera qurban-e-Madinah
Itrati hai kyun baad-e-saba tu mere aage Dekhein ge kabhi hum bhi gulistan-e-Madinah
Sar de ke ghulaman-e-Nabi rah-e-Khuda mein Aaram se soye tah-e-daman-e-Madinah
Shahan-e-jahan kanpte hain naam se tere Allah yeh saulat teri Sultan-e-Madinah
Kya wasf karoon khoobi-e-akhlaq ka un ke Be-misl hai duniya mein har insaan-e-Madinah
Sar sabz kisi ki bhi na ho kisht-e-tamanna Barse na agar khalq pe neysan-e-Madinah
Makhlooq-e-Khudawand hai sab zer-e-hukumat Hai hakim-e-kaunain Sulaiman-e-Madinah
Aaram se thahrata hai zawwar-e-Nabi ko Goya ke yeh chhota sa hai ehsan-e-Madinah
Pesh aate hain rehmat ke farishte batawazu Allah ke mehman hain mehman-e-Madinah
Ho jaye jo Sarkar ki rehmat ka ishara Sag apna banaye mujhe darban-e-Madinah
Marne pe bhi chhorein ge na mehboob ka koocha Ushaaq ki jannat hai bayaban-e-Madinah
Ghabrayein ge sab mehr-e-qayamat ki tapish se Be-khauf magar hon ge gadayan-e-Madinah
Sibtain ki jab hashr mein aaye gi sawari Ghull hoga ke woh aate hain khuban-e-Madinah
Hai arz-e-Jameel Qadri ka yeh khulasa Lasha ho mera aur bayaban-e-Madinah
Ushaaq yeh kehte hain Jameel Qadri ko Hai naghma sara bulbul-e-bostan-e-Madinah





