Kya muzdah-e-jaan bakhsh sunaye ga qalam aaj Kaghaz pe jo sau naaz se rakhta hai qadam aaj
Aamad hai yeh kis badshah-e-arsh-e-makan ki Aate hain falak se jo haseenan-e-Iram aaj
Kis gul ki hai aamad ke khizan deedah chaman mein Aata hai nazar naqshah-e-gulzar-e-Iram aaj
Nazranah mein sar dene ko hazir hai zamanah Is bazm mein kis shah ke aate hain qadam aaj
Baadal se jo rahmat ke sar-e-shaam ghire hain Barse ga magar subh ko baran-e-karam aaj
Kis chand ki phaili hai ziya kya yeh saman hai Har baam pe hai jalwah numa noor-e-qadam aaj
Khulta nahin kis jaan-e-masiha ki hai aamad But bolte hain qalib-e-be-jaan mein hai dam aaj
But khanon mein woh qahr ka kahram para hai Mil mil ke gale rote hain kuffar-o-sanam aaj
Ka'bah ka hai naghma ke hua laus se main paak But nikle ke aaye mere maalik ke qadam aaj
Tasleem mein sar wajd mein dil muntazir aankhein Kis phool ke mushtaq hain murghan-e-haram aaj
Aye kufr jhuka sar woh shah-e-but shikan aaya Gardan hai teri dam mein teh-e-tegh-e-do dam aaj
Kuch ra'b-e-shahanshah hai kuch walwalah-e-shauq Hai tarfah kashakash mein dil-e-bait-o-haram aaj
Purnoor jo zulmat kadah-e-dahr hua hai Roshan hai ke aata hai woh mahtab-e-karam aaj
Zahir hai ke Sultan-e-Do Aalam ki hai aamad Ka'bah pe hua nasb jo yeh sabz alam aaj
Gar aalam-e-hasti mein woh mah-e-jalwah fagan hai To saayah ke jalwah pe fida ahl-e-'adam aaj
Haan mufliso khush ho ke mila daman-e-daulat Tardamino muzdah woh utha abr-e-karam aaj
Ta'zeem ko uthe hain malak tum bhi khare ho Paida huye Sultan-e-Arab Shah-e-'Ajam aaj
Kal naar-e-jahannam se Hassan amno amaan ho Is maalik-e-firdaus pe sadqe hon jo hum aaj





