Kya Khuda-daad aap ki imdad hai Ik nazar mein shaad har naashaad hai
Mustafa ﷺ to barsar-e-imdad hai Afu to keh kya tera irshad hai
Ban padi hai nafs-e-kafir kesh ki Khel bigra lo khabar faryad hai
Is qadar hum un ko bhoole haye haye Har ghari jin ko hamari yaad hai
Nafs-e-ammarah ke hathon aye huzoor Daad hai bedaad hai faryad hai
Phir chali baad-e-mukhalif lo khabar Naao phir chakra gayi faryad hai
Khel bigra naao tooti main chala Aye mere wali bacha faryad hai
Raat andheri mein akela yeh ghata Aye Qamar ho jalwa-gar faryad hai
Ehad jo un se kiya roz-e-alast Kyun dil-e-ghafil tujhe kuch yaad hai
Main hoon main hoon apni ummat ke liye Kya hi pyara pyara yeh irshad hai
Woh shafa'at ko chale hain pesh-e-Haq Aasiyo tum ko mubarakbad hai
Kaun se dil mein nahin yaad-e-habib Qalb-e-momin Mustafa ﷺ abad hai
Jis ko us dar ki ghulami mil gayi Woh gham-e-konain se azaad hai
Jin ke hum bande wahi thehre shafi Phir dil-e-betab kyun naashaad hai
Un ke dar par gir ke phir utha na jaye Jaan-o-dil qurban kya uftaad hai
Yeh ibadat zahido be-hubb-e-dost Muft ki mehnat hai sab barbad hai
Hum safeeron se milein kyunkar Hasan Sakht qaid aur sang-dil sayyad hai





