We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Kya Karein Mehfil e DildarNot Verified

Hassan Raza Khan Barelvi

Kya karen mehfil-e-dildar ko kyunkar dekhein Apne sarkar ke darbar ko kyunkar dekhein


Tab-e-nazzara toh ho yaar ko kyunkar dekhein Aankhein milti nahi deedar ko kyunkar dekhein


Dil-e-murda ko tere koocha mein kyunkar le jaayein Asar-e-jalwa-e-raftaar ko kyunkar dekhein


Jin ki nazron mein hai sehra-e-Madinah Bulbul Aankh utha kar tere gulzar ko kyunkar dekhein


Awaz-e-afw-e-gunah bikte hain ik majma hai Haaye hum apne khareedar ko kyunkar dekhein



No More Screenshots! Save Storage with Our Lyrics App!

Get it on Google Play


Hum gunahgar kahan aur kahan ruyat-e-arsh Sar utha kar teri deewar ko kyunkar dekhein


Aur sarkar bane hain toh unhi ke dar se Hum gada aur ki sarkar ko kyunkar dekhein


Dast-e-sayyad se aahu ko chhudayein jo kareem Daam-e-gham mein woh giraftar ko kyunkar dekhein


Tab-e-deedar ka daawa hai jinhein saamne aayein Dekhte hain tere rukhsar ko kyunkar dekhein


Dekhiye koocha-e-mehboob mein kyunkar pahunchein Dekhiye jalwa-e-deedar ko kyunkar dekhein


Ahlkaran-e-saqar aur irada se Hasan Naaz parwarda-e-sarkar ko kyunkar dekhein

Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah