Konain ke hathon mein Muhammad ke alam hain Pahunche na jahan zehen wahan un ke qadam hain
Sadiyan hi nahin ahd-e-risalat ki kaneezein Aafaq bhi sab hashia bardar-e-haram hain
Quran ka parhna bhi ziyarat hai Nabi ki Awsaf hain tehreer khado-khaal raqam hain
Tareeki-e-paiham ho to woh subh ka tara Sookha huwa mausam ho to woh abr-e-karam hain
Main un mein fana ho ke unhein dekh raha hoon Woh zinda salamat pas-e-deewar-e-adam hain
Andar bhi mere daftar-e-sarkar khula hai Is arsh ki tehweel mein bhi loh-o-qalam hain
Kitna hi main taqseem hoon ‘ hasil wahi mera Kitni bhi khatayen hon inayat se kam hain
Aankhein bhi unhein dekhti rehti hain Muzaffar Sansein bhi unhi qadmon ki aawaz mein zam hain





