Kaun aisa hai jise Khair-ul-Wara ne na diya Koi aisa bhi hai kya jis ko Khuda ne na diya
Aap ke deen ka munkir hai nira nashukra Koi kafir hi kahe ga ki Khuda ne na diya
Jis ko tum ne diya Allah ne us ko bakhsha Jis ko tum ne na diya us ko Khuda ne na diya
Aap ke Rab ne diya aap ko fazl-e-kulli Woh diya tum ko jo auron ko Khuda ne na diya
Woh fazail tumhein bakhshe hain Khuda ne jin ka Aap ke ghair mein imkan bhi aane na diya
Misl mumkin hi nahin hai tera ae La-sani Wehm ne bhi to tera misl samane na diya
Aap ke jor ka aaye to kahan se aaye Jab wajood us ko Shah-e-Arz-o-Sama ne na diya
Adam-o-Nooh, Ibrahim, Kaleem-o-Isa In ko sab ko mila kya Rabb-e-Ala ne na diya
Bawajood is ke tumhein jo mila un ko na mila Aap ka rutba kisi ko bhi Khuda ne na diya
Sab matalib mere bar aaye karam se un ke Koi matlab bhi mere dil ka barane na diya
Kaisi pur-noor hai jannat ki fiza ae Noori Phir bhi Taibah ka maza is ki fiza ne na diya





