Ki'e kaun-o-makaan roshan teri tanveer ke qurbaan Tu pahuncha la-makaan pyaare teri tauqeer ke qurbaan
Rukh-o-zulf-e-Nabi ko dekh kar kehta hai aaeena Arab ke chaand mein bhi hoon teri tanveer ke qurbaan
Nabi ki khaak-e-paa ikseer-e-a'zam se bhi barh kar hai Main kyun ae keemiya-gar hoon teri ikseer ke qurbaan
Faseehaan-e-Arab hairan ho ho kar yeh kehte the Rasoolullah ki taqreer par tanveer ke qurbaan
Hazaron dushmano ko ekdam mein kar liya banda Rasoolullah ke khutbe teri taseer ke qurbaan
Malaaik ins-o-jinn kya jaanwar bhi ho gaye shaida Hue sang-o-shajar goya teri taskheer ke qurbaan
Ata keen na'matein dono jahan ki Haq Ta'ala ne Khuda ke naib-e-mutlaq teri jaageer ke qurbaan
Watan apna kiya Taibah mein jab Mehboob-e-Akram ne To Makkah kyun Madinah ki na ho taqdeer ke qurbaan
Karoon main is qadar Ya-Rab rukh-e-Maula ka nazara Ke hon aankhein meri wash-shams ki tafseer ke qurbaan
Musalmanon pe aisa tu ne daam-e-makr phailaya Ke hai Iblees bhi Najdi teri tazweer ke qurbaan
Woh Sheikh Ahmad Raza Khan jis ne raah-e-raast dikhlai Jameel Qadri kyun ho na aise peer ke qurbaan





